Frequently Asked Questions Regarding(FAQS) Issb(Inter Services Selection Board) BY Issb Materials

 I hope ka ap sab thek honga.Mein na yahan FAQs compile kiya hain regarding Issb.Almost har aspect jo candidate puchta hain wo covered hain.Ap lazmi read karein complete post bcz ya apka liya productive hain.You can follow ""Issb Materials"" on youtube and facebook.

Q.Matric or Fsc Marks ka Issb Selection per kitna asar hai?

Ans:Interview mein Deputy president in marks ko kisi had tak Importance deta hain.Lekin Psychologist or GTO marks ke basis per assesment nahi karta.

Q.Konsa asa negative points hain jo Issb mein acceptable nahi?

Ans:Issb mein baemanani,jhoot,daghabazi waghera means to say integrity per sawaliya neshan bilkul acceptable nahi.

Q.Psychologist ka Interview itna mukhtasir kyon hota hai?

Ans:Psychologist test mein candidates ka mutaliq boht se shubhat or ibham hota hain candidate ka bara mein.Psych. Interview ka maqsad in doubts ko khatam karna or aik hatmi rae tayar karna hota hai.Body language bhi amna samna baat cheet se he samna a sakte hai ka ya person kaisa hai.

Q.Selectors 17 18 saal ke bani hue personality ko 2 3 days mein kaisa judge kar leta hain?

Ans:Psychologist test design he is tarhan sa kiya jata hain ka candidates ka pata chala ja saka.And Psychologists aik lambi trainning ka phase se guzar kar ata hain.Same baki selectors bhi candidate ko observe karta hain or wo bhi lamba trainning process sa guzar ka ata hain.Inko complete trainning ka baad ya zimmadari de jate hai.

Q.Body language sa kya murad hai or Issb mein selection per kitna effect hai?

Ans:Aik aam insan zuban sa jhoot bol sakta hai.Lekin uska chehra or baki jismani aaza uska sath nahi deta yahi body language hote hai.Baat karta huwa chehra per utar charhao ata hain us sa insan ke ander ke kafiat ka andaza ho jata hai.Isliya Issb mein fakeness or jhot aksar rejection ka bais bante hai.

Q.ReInterview mein kya dekha jata hai?

Ans:Jab kisi  mamla per aik ya do selectors mein ikhtilaf ho or wo koi decision lena ke position mein na hon tou case president ko refer kiya jata hai.President doubts clear karna ka liya re interviews conduct karta hain.But iska hargiz ya matlab nahi ka ap recommended hain.

Q.Interview mein sedha answer karein ya banar sanwar kar?

Ans:  

Sachai chup nahi sakte banawat ka asolon se

ka khusbu a nahi sakte kaghaz ka pholon se

Q.Interviews mein hobby or games ka mutaliq Questioning ho sakte hain?

Ans:Games or hobbies insan ke nasho n numa mein wazah faraq paida karta hain.Aik huma jehat shakhsiat ka kai pehlu khel ka maidan mein ubharta hain.Is liya is Qisam ka Questions pucha jata hain.Ap jo khelta hain ya jis hobby mein interest rakhta hain wo btaein.Jhoot or banawat sa parhaiz karein.

Q.Girls or Sex related Questions ko kaisa tackle karein or kis tarhan ka answers karein?

Ans:Kisi bhi sawal ka sahi jawab tou wohi hai jo haqeeqat hai.Nojwan jinsi taskeen ka liya Masturbating karta hain.Is baat ka ilam apka selectors ko bhi hai bcz wo bhi life mein is phase se guzra huwa hain.Larkiyon sa choti moti dostiyan ab mashra mein aam hain.Isko accept karna mein koi harj nahi.But shadi sa pehla jinsi taluqat abhi hamaral mashra mein norm nahi.Agar koi larka/larki is had tak pohnch chuka tou wo ikdar ke hadein phalang chuka hai or future mein us sa asa immoral act ke tawako ke ja sakte hai.

Q.Command Tasks or Baki Tasks ko kaisa karein?

Ans:Sab sa pehla tou achi tarhan briefing ko samjhein or apko pata ho ka apna karna kya hai.Phir us task mein itna involve ho jaein ka jaisa apke life ka maqsad ya task solve karna hai.Dosron ko bhi moqa dein or sab ka sath mill kar chalein.

Q.Interviews mein hum kaisa answers karein?

Ans:Har sawal ka to the points answers karein.negative ya positive dekhna ke bachae truthly answer karein.

Q.Deputy or Psychologist Issb mein Interview kyon leta hain?

Ans:Deputy or Psychologist ka interviews ka maqsad ya dekhna hota hai ka ap armed forces ka liya suitable hain ya nahi.Agar ap baghair kisi fikar ka aik kam mein lag jaein tou apke personality judge karna assan ho jata hai.

Q.GTO ka Interview ka kya maqsad hota hai?

Ans:Tasks dekhta huwa GTO ka mind mein candidate ka bara mein Questions ata hain tou wo us interview sa apne doubts clear karta hain.

Q.Kya Issb ka tasks mein Initiative lena or aggresion dekhana chahya?

Ans: Jahan tak Initiative ke baat hai tou wo dekhana chahya or dekhana mein koi harj nahi.Lekin Verbally or physically aggression dekhana ke gunjaish nahi.

Q.Mechanical Aptitude(MAT) test ke kya value hai?

Ans:MAT test ke base per kisi ko screen out nahi kiya jata iska score CAE or TCC ka candidates ke selection mein importance de jate hai.Baki tamam courses ke selection mein iska koi khas role nahi.

Q.Interview mein ghussa per kaisa kaboo karein?Pressure mein kaisa pur sakoon raha jae?

Ans:Deep Brething ke exercise sa ap apna apko pur sakoon rah sakta hain.

Q.Agar Interview mein song sunnana ya joke sunana ka kaha jae?

Ans:Agar song ga sakta hon tou gaein warna khuwamakhwa singer banna ke zarrorat nahi.Tameez ke daira mein rah kar ap koi joke sunna sakta hain.

Q.Boht paisa mill jaein tou kya karein?Iska jawab kya dena munasib hai?

Ans:Haqeeqat per mabni jawab dein.Fazool kharch candidates ke selection ka chances boht kam hota hain.

Q.Agar koi baat kahein tou us per dat jaein chahe ghalat he kyon na ho?

Ans:Ghalti maan lena apni aik bhaduri ka kam hai.Ghalti karka ar jana shaitan ka kam hai.

Q.GTO Tasks ka kya role hai?

Ans: IOs ka ilawa tamam tasks mein candidates group ke surat mein kam karta hain jiska maqsad yahi check karna hota hai ka ap aik group ke surat mein team member ke surat mein kam karsakta bhi hain ya nahi.

Q.Kitna outdoor tasks hota hain and Individual Obstacles ke kaisa tayari karein?

Ans:Total 5 outdoor tasks hota hain.IOs ka liya ap daily basis per 1 hour exercise karein jis mein running,high jump,Long jump ke practice lazmi karne chahya.

Q.Individual Obstacles ka role kya hai?

Ans:Kam waqt mein kai kisam ka kaam karna ka liya jo planning chahya hote hai or usko kaisa implement karna ko observe karna ka liya  karwae jata hain.IOs outdoor tasks ka satwan(7th) hissa hota hain.Kyon ka GTO na apka sath 7 tasks karna hota hain.Agar ap IOs pura karta hain or double karta hain its mean you get 100% in 7th part matlab 15/100.Agar ap baki tasks mein acha perform na karein sirf obstacles perform karein sara what do you think ka apko Gto Recommend karda ga?I hope ka apko apka answer mill gaya hoga.

Q.Agar kisi ka Question answer na aei tou sorry kah sakta hain?

Ans:Yes ap sorry kah sakta hain.Ap apna answers mein approximately ya ghalban bhi kah sakta hain.

Q.Pareshan kun Sawalaat ka kya maqsad hota hai?

Ans:Aik officer ko tarhan tarhan ka pressure ka samna karna parta hai.So is Quality ko check karna ka liya wo asa Qs karta hain selectors iska ilawa bhi candidate mein stress tolerance

ka jaiza leta hain.

Q.What does Grade Means in Issb Selection Process?

Ans:Issb mein Grading is tarhan ke gae hai ka Merit list mein jo 3no selectors sa recommend hota hain wo merit list mein upar hota hai jo 2 se recommend hota hain wo list mein neecha jagha pata hain.

Q.Issb mein reporting wala din jo form submit karwata hain unka kya kam hai?

Ans:In mein sa Board Questionarie form(Bio data form)Psychologist ka pass jata hai taka wo apka background check karsaka.PIQ form GTO ka pass jata hai.Or Claim form clerical staff ka pass jata hai taka apka TA/DA banaya ja saka.

Q.Issb form jo Center walon na GHQ/AHQ/NHQ bheja kya Bio data form mein same wohi chezain likhna lazmi hai?

Ans:Waisa try karein same chezain he likhein Bio data form mein.Lekin agar thora boht faraq likh rahein jo reality hai tou us sa apke selection per koi asar nahi paraga.

Q.Issb mein kitna Selector Access karta hain?

Ans:Issb mein 3 Selectors access karta hain(GTO,Deputy President and Psychologist) aur in mein sa koi sa 2 votes lena wala person issb clear kar jata hai.

Q.Issb ka result kab ata hai?

Ans:Normally result departure day wala din tak ready hota hai and next day sites per upload kardiya jata hai and documents within 2 weeks mill jata hain.Last batch ko  use waqt result de diya jata hai.

Q.Does Issb materials have any youtube channel?

Ans: Yes you can follow here

https://m.youtube.com/channel/UCREsXf4tltThsFkabaIee_g

Q.Issb ke preparartion ka liya acadamy ka kitna faida hai?

Ans:Issb ka maqsad aik person ke personality ka jaiza lena hai agar wo kahin sa seekh parh kar ya tricks apna per apply karega tou uske apni personality kharab ho jaege wo na 3 mein rahe ga na 13 mein aik khichri se pak jaege personality ke.As a result uske personality clear nahi ho ge selectors ko as a result not recommendation.Han kisi sa issb ka bara mein guideline lena sa person ka maqsad wazeh ho jata hai doubts clear ho jata hain as a result wo khud apna dimagh use karna start kar paega or asa case mein recommendation ka chances zayada ho jaeinga.

Q.Issb mein sifarish ka kya scene hai?

Ans:0% scene hai deserving person recommended lazmi hota hain.Ya possibility hai ka weak camdidates recommend ho jaein lekin hamesha mehnat or lagan sa kam karna wala kamyab hota hain.

Q.Kya repeater ka selection ka chances kam hain?

Ans: Chances tou utna he hai hain jitna fresher ka lekin accesors beat performance expect kar raha hota hain Repeaters sa.

Q.How can we apply in Issb?

Ans:You can watch here

https://youtu.be/qkpZ9AXedBI

Q.Kis kisam ka attitude Issb mein negative impact deta hai?

Ans:Kisi bhi kism ka fakeness apka behaviour mein negative impact de dete hai.Aik person hota he positive hai bajae ya sochna ka flan kam negative impact dala ge etc ap start se focus karein mehnat karein apna 100% dein.

Q.Kya kisi person ke personality judge karna short time mein possible hai?Kya selectors se mistake ho sakte hai?

Ans:Personality judge karna assan kam nahi hai.Lekin selectors apna experience or trainning ke base per suitable person ko he select karta hain.Lekin agar kisi se ghalti ho bhi jae tou yaad rakhein ka at least 2 selectors ka vote hona chahya apka sath recommendation ka liya.Ab ya nahi ho sakta hai ka aik sa zayada selectors ghalti karein.I hope ka apko samajh a rahe hai jo mein kahna chahta hun.

Q.During issb apke dressing kya hone chahya?

Ans:Jo dress ap apni uni mein pehan kar jata hain ya bhair jana ka liya use karta hain okey hain.Outdoor tasks ka liya call letter mein mention dress code follow karein jabka interviews ka liya formal dressing prefer karein.

Q.Kya hum kisi bhi selector ko bewakoof bna sakta hain?

Ans:Simply reply hai nahi ap nahi bna sakta hain.Bcz unka pass education,Experience,

trainning waghera sab kuch hai and wo aik perosn ko easily access kar leta hain.Lets suppose agar koi kamyab ho jata hai lekin 2 selectors to phir bhi usko access karna ka liya betha he hain.And Selectors ko agar nahi pata ka apna kya baat chupai but agar unko zara sa bhi doubt ho gaya ka ap kuch chupa raha hain tou definately unka pass solid reason hoge apko not recommend karna ke.

Q.Issb form submit karwana ka baad koi chance hai ka call na aei?

Ans:Ye apka course per depend karta hain course to course vary karta hain.Call kuch courses mein sab ko ate hai jabka kuch cases mein shortlisted ko.

Q.Issb mein hamara behaveiour kaisa hona chahya?

Ans:Issb mein ap test de raha hon,field area mein,Dinning per hon jahan kahi bhi hon tou behaviour apna shareef logon wala rakhein.

Q.Issb kis tarhan ka person dhond rahe hote hai?

Ans:Unhein asa candidates ke talaash hai jis ke sochein,umangein,tarjehat or Jazba hum umar larkon jaisa ho.Shoq or jazba insan ko uske manzil tak pohncha deta hai.But unhe asa person chahya jo apni baton ka amli saboot bhi de saka.

Q.Kya Issb tests ka marks hota hain?

Ans:Nahi kisi test ka marks nahi hota siwa Indvidual obstacles ka aam tor per wo yahi dekh raha hota hain ka kya ap fouj mein adjust ho sakein ga ya nahi.

Q.Selectors ka pass Repeater ke kitni detail pehla sa mojood hote hai?

Ans:Selectors ko bss apka status pata hota hai ka ap repeater hain is sa zayada kuch nahi.Or na he unko apke pichle assesment ka pata hai ka apko kyon not recommend kiya gaya.Pichla assesors dobara apka assesors nahi banein ga.

Q.Kya hum 1 waqt mein Army,Airforce and Navy ke issb de sakta hain?

Ans:1 Candidate 1 time mein kisi 1 course ke Issb ka liya appear ho sakta hai.Agar wo recommend ho jae tou recommendation 1 year tak valid rahte hai.Is tensure mein ap issb kisi dosra course ka liya use kar sakta hain.Agar not recommend ho jaein tou 120 days sa pehla issb ka liya nahi appear ho sakta.

Q.Kya Issb mein Batman hamare report officers ko karta hain?

Ans:Selection sa related sirf Selectors ka pass he power hai or kisi ka pass nahi.Lekin agar mess ya room mein badtameezi kar raha hain tou wo report karsakta hain apka bara mein.

Q.1 Batch ya 1 Group mein kitna larka select hota hain?

Ans: Koi khas ratio fix nahi hai jo log unka mayaar per utarta  hain  wo recommend ho jata hain.But Joinning ka liya merit list mein ana lazmi hai.

Q.Kya MCJ ya baki Cadet Colleges ko relaxation ya preference de jate hai selection mein?

Ans:During Selection mein kisi ko koi edge nahi milta chaha ap Topians hain ya Kohatians but remember cadet colleges ka environment fouji mahool kah lein wahan unke tarbiyat hue hote hai 4 5 saal so is wajha sa unke selection ka chances zayada hota hain as compared to other candidate.So if you are appearing for Issb tou apna ap ko dekhein dosron ko dekhna ke zarrorat nahi jahan sa marzi hon ya apka headache nahi.Apni performance best dein.

Q.Issb tests mein English language ke kya importance hai?

Ans:English wo sawari hai jis per beth kar ap personality test perform karta hain.So agar English achi hai tou personality test bhi apka acha he hoga.In short English ka sahi use apke success mein involvememt rakhta hai.

Q.Kya Issb mein Psych Test sab sa importance hai?

Ans:Psych test ko important asa kah sakta hain ka Psych test apka 1 sa zayada baar dekh sakta hai recheck karsakta hai.Lekin GTO and Deputy sirf aik baar observe karta hain.But jaisa ka apko btaya apko at least 2 votes chahya recommendation ka liya.

You can follow us on Youtube too https://m.youtube.com/channel/UCREsXf4tltThsFkabaIee_g

Thank you!!!


Comments